woh pehla izhaar tera, woh pehla sawaal tera
qwahish rakti hoon saman, kehna phirse zara
woh pehli nigha teri, kai sawaal pochti hui
umeed rakti hoon sanam, dekhna phirse zara
sab janker b mujhse puchna, dur jaa ker phir paas ajana,
ankh milakar gum hojana, baath karte hue muskurana tera,
bada yaad karti hoon woh waqt, dauhrana phirse zara
yun toh hoon badi chanchal, aur anakari mai
per tere sang jab hoti hoon toh tujhme hi khojati hoon.
meri galli tujhse hai aur mera Aafaaq bhi tujhi se hai (Aafaaq - world)
meri Aaraaish hai tera pyar, mera Aaraam-gaah hai tera dil. (Aaraaish - decoration/make-up, Aaraam-gaah - rest house/place of resting)
har lamha tera aab-e-zar se likha hai hamne. (aab-e-zar- gold ink)
qwahish rakti hoon sanam, mujhe "JAANA" kehna phirse zara.
Shariyaa.......................
very nice shariyaa............bahot khub
ReplyDeleteWow really liked this one, hits me close
ReplyDeleteThanks di..........
ReplyDeleteThanks for ur words..............it means a lot
ReplyDeleteWonderful Creation Shayariya ji
ReplyDelete