Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Hum Hain
Rukh Hawaaon Ka Jidhar Hai, Udhar Ke Hum Hain
Pehle Har Cheez Thi Apni Magar Ab Lagta Hain
Apne Hi Ghar Mein, Kisi Doosre Ghar Ke Hum Hain
Waqt Ke Sath Hai Mitti Ka Safar Sadiyon Se
Kisko Maloom, Kahan Ke Hain, Kidhar Ke Hum Hain
Jism Se Rooh Talaq Apne Kyi Aalam Hain
Kabhi Dharti Ke, Kabhi Chaand-Nagar Ke Hum Hain
Chalte Rehte Hain Ki Chalna Hai Musafir Ka Naseeb
Sochte Rehte Hain Kis Raahgujar Ke Hum Hain
Gintiyon Mein Hi Gine Jaate Hain Har Daur Mein Hum
Har Kalamkar Ke Benaam Khabar Ke Hum Hain...
- Nida Fazli
No comments:
Post a Comment