Jazbaat Se Khelta Dekha


Apno Ko Apno Ke Jazbaat Se Khelta Dekha Hai,
Jhoot Sun Sun Ke Sach Ka Katl Hote Dekha Hai,

Nahi Fark Padhta Unhein Kya Kya Gujregi Kisi Par,
Unko Toh Humne Bas Armano Ko Kuchlate Dekha Hai,

Lamha Lamha Door Hone Ka Gham Satata Rahta Hai,
Us Duri Ka Hamne Unhe Fayda Uthate Dekha Hai,

Kar Ke Sitam Fir Khate Hain Apno Ki Jhuti Kasam,
Un Kasmo Ko Humne Hamesha Tutate Huye Dekha Hai,

Farebi Nahi Hain Hum Fir Bhi Kahlaate Hain Farebi,
Farebi Kahke Hamein Us Ko Humne Hansate Huye Dekha Hai,

Sambhali Apni Har Khusi Uski Sachhi Ibadat Ke Liye,
Khusiyan Bantate Humne Unhe Gairon Ke Sath Dekha Hai....

Woh Na Aaya



Ek Yeh Bhi Bharam Toota,
Milne Ko Woh Na Aaya,

Kya Kya Na Mujhpe Gujri,
Kya Kya Na Dil Mein Aaya,

Pahle Bhi Yun Toh Usne,
Tode Hain Kayi Waade,

Hum Toh Na Bura Maane,
Humko Na Malaal Aaya....

Mahar Baani Mein


Fir Se Aa Jaao Zindgani Mein,
Jaise Hota Hai Ek Kahani Mein,

Meri Najron Mein Hakk Hain Dono,
Ashq Mein Dubna Ya Paani Mein,

Fark Kya Hai Ke Dono Royenge,
Tum Budhape Mein Hum Jawani Mein,

Jo The Zinda Teri Wafa Mein Bhi,
Mar Gaye Teri Mahar Baani Mein...

Saath Thi Tanhaiyan


Zindagi Meri Adhuri, Raah Mein Tanhaiyan,
Sham Dhalte Aa Gayi Hain, Fir Wohi Tanhaiyan,

Raat Humne Kaat Li, Julmo Sitam Ko Jhelkar,
Waqt E Sahar Toh Ho Gaya, Par Saath Thi Tanhaiyan,

Fir Tera Aanchal Jara Sar Se Mere Hatne Laga,
Jaise Jaise Woh Hta, Badhti Gayi Tanhaiyan,

Yeh Tera Ahsaan Ke Tu Tanha Mujhko Kar Gaya,
Warna Kabhi Poori Bhi Na Hoti Meri Tanhaiyan,

Saaf Saaf Kah Rha Hai Rang Tere Rukhsaar Ka,
Tu Bhi Tanha Rah Gaya Dekar Mujhe Tanhaiyan

Zindagi Ka Ajeeb Hai Manjar


Dil  Yeh  Jaise  Koi  Alaav  Jale,
Ek  Banjare  Ka  Padav  Jale,

Zindagi  Ka  Ajeeb  Hai  Manjar,
Beech Toofan Mein Jaise Naav Jale,

Lamha Lamha Jhulas Raha Hun Main,
Jism  Jaise  Ki  Paav  Paav  Jale,

Mujhko Dekha Jo Usne Lapton Mein,
Uske  Chehre  Ke  Haav  Bhav  Jale,

Khoob  Aaya  Nikhar  Sheron  Mein,
Fikr  Ke  Jab  Naye  Alaav  Jale,

Kisne  Chheda  Wafa  Ka  Afsana,
Bujh Gaye The Jo Mere Ghav, Jale...

Pyar Ke Naam Par


Bheed Mein Humko Tanha Rahna Aata Hai,
Tanhai  Ko  Mefil  Karna  Aata  Hai,

Jab Na Samjhe Koi Apne Dil Ki Baat,
Aise Mein Fir Chup Bhi Rahna Aata Hai,

Taano Ke Tum Teer Chalao Fir Bhi Hamein,
Thanthak Jakhmon Par Bhi Rakhna Aata Hai,

Is Akshar Ko Chahe Koi Na Samjhe,
Pyar Ke Naam Par Humko Marna Aata Hai,

Shabnam Duniya Chahe Sataye Lakh Magar,
Humko Hak Ki Khatir Ladna Aata Hai....

Dil Mera Dhadkta Hai


Har Roz Hamein Milna Har Roz Bichhudna Hai,
Main Raat Ki Parchhayi Tu Subah Ka Chehra Hai,

Aalam Ka Yeh Sab Naksha Bachon Ka Gharonda Hai,
Ek Jarre Ke Kabje Mein Sahmi Huyi Duniya Hai,

Hamraah Chalo Mere Ya Raah Se Hat Jaao,
Deevar Ke Roke Se Dariya Kahin Rukta Hai,

Unke Hi Isharon Par Yeh Raat Mili Humko,
Jin Chand Ke Chehron Ka Saya Bhi Sunhara Hai,

Ek Goonj Bhatkati Hai Sunsaan Pahadon Mein,
Jab Raat Ke Seene Mein Dil Mera Dhadkta Hai,

Kab Jaane  Hawa Usko Bikhra De Fajaon Mein,
Khamosh Darkhaton Par Sahma Hua Nagma Hai...

Log Kahne Lage Bewafa


Udaasi Ke Chehre Padha Mat Karo,
Gajal Aanson Se Likha Mat Karo,

Baharhaal Yeh Aag Hi Aag Hai,
Chiragon Ko Aise Chhua Mat Karo,

Dua Aansuon Mein Khila Phool Hai,
Kisi Ke Liye Baddua Mat Karo,

Tumhe Log Kahne Lage Bewafa,
Jamane Se Itni Wafa Mat Karo,

Khuda Ke Liye Chandani Raat Mein,
Akele Akele Fira Mat Karo...

Bachpan Tha Aaine Jaise


Mera Bachpan Tha Aaine Jaise,
Har Khilone Ka Muh Taka Karna,

Ek Ladki Thi Khel Tha Uska,
Gudda Gudiyon Ka Silsila Karna,

Phool Shakhon Ke Hon Ke Aankhon Ke,
Raste Raste Chuna Karna,

Yeh Rasm Bahut Purani Hai,
Neend Mein Aag Par Chala Karna,

Raaste Mein Koi Khandhar Hoga,
Sahsavaaron Wahan Ruka Karna....

Hashar Yahi Toh Hota Hai Deewano Ka



Fursat Kise Hai Jakhamon Ko Sahlaane Ki,
Nigaahein Badal Gayi Hain Apne Begano Ki,

Humsafar Hi Saath Chhod Gaya Mera,
Ab Tamanna Na Rahi Aashiya Banane Ki,

Raakh Ho Gaya Chaman Armano Ka,
Naamon Nishaa Na Bacha Mere Afsane Ka,

Barbaadi Par Ranjo Gham Kaise Yaaro,
Hashar Yahi Toh Hota Hai Deewano Ka...

Wohi Dariya Hai


Dilki Dahleej Par Yaadon Ke Deeye Rakhe Hain,
Aaj Tak Hamne Yeh Darwaaje Khule Rakhe Hain,

Is Kahani Ke Woh Kirdar Kahan Se Laaun,
Wohi Dariya Hai Wohi Kache Ghade Rakhe Hain,

Hum Par Jo Gujri Bataya Na Batayenge Kabhi,
Kitne Khat Ab Bhi Tere Likhe Huye Rakhe Hain,

Aapke Paas Kharidari Ki Kuvvat Hai Agar,
Aaj Sab Log Dukaano Mein Saje Rakhe Hain...

Taar Taar Daman Mein


Main Tumko Bhool Bhi Sakta Hun Is Jahan Ke Liye,
Jara Sa Jhoot Jaruri Hai Daataa Ke Liye,

Mere Labon Par Koi Boond Tapki Aansu Ki,
Yeh Katra Kafi Tha Jalte Huye Makaan Ke Liye,

Main Kya Dikhaun Mere Taar Taar Daman Mein,
Na Kuchh Yahan Ke Liye Na Kuchh Vahan Ke Liye,

Gajal Bhi Is Tarah Uske Saamne Laya Hun,
Ki Jaisi Bachha Koi Aaye Imtehaan Ke Liye...

Jeevan Bana Liya Hai


Raat Ko Jaagta Hu Din Mein Sotaa Hun,
Kuchh Isi Tarah Se Maine Apna Jeevan Bana Liya Hai,

Kya Hua Agar Sooraj Ki Roshni Nahi Hai,
Hamaara Kaam Toh Chandni Mein Bhi Hota Hai,

Ab Toh Hamne Machhron Ko Dost,
Aur Makhiyon Ko Dushman Bana Liya Hai,

Isi Tarah Se Humne,
Apna Jeevan Ka Badlaav Apko Bataa Diya Hai...

Thoda Intezaar Kar


Are Oh Paagal Dil Itni Aasan Nahi Jeet,
Jab Kaam Ki Line Mein Lag Gayi Hai Bheed,

Tu Udaas Mat Ho Apne Jeevan Se,
Jabki Paar Karne Hain Tujhe Bahut Saari Manzil,

Akelaa Chalaa Tha Jo,
Woh Paa Gayaa Manzil,

Isliye Tu Thoda Intezaar Kar,
Kyunki Intezar Kar Rahi Hai Teri Manzil...

Mohabbat Ho Gayi Hai



Aankhe Aksar Woh Baatein Kah Jaati Hain,
Jo Baatein Hum Jubaa Par La Nahi Paate,

Mohabbat Ho Gayi Hai Unse Par Hum,
Unhe Yeh Hum Baat Bataa Nahi Paate,

Bolna Toh Chahta Hai Dil Baatein Bahoot,
Par Jubaa Hi Ki Bol Nahi Paate,

Karam Itna Ho Khuda, Ki,
Oh Dil Ki Baat Aankho Se Samjh Jaate...

Madhur Geet Gata Rahun

Tum Savyam Ko Sajaati Raho Raat Din,
Raat Din Main Savyam Ko Jalata Rahu,
Tum Mujhe Dekhkar Mud Ke Chalti Raho,
Main Virah Mein Madhur Geet Gata Rahun...

Main Jamaane Ki Thokar Hi Khata Rahun,
Tum Jamaane Ko Thokar Lagaati Hi Raho,
Zindagi Ke Kamal Par Girun Oss Sa,
Rosh Ki Dhoop Ban Tum Sukhaati Raho...

Kaanto Ki Sajaati Raho Raah Tum,
Main Usi Raah Par Roj Jaata Rahun,
Tum Savyam Ko Sajaati Raho Raat Din,
Raat Din Main Savyam Ko Jalata Rahu...

Tum Gaye Tumhaare Saath Gaya


Tum Gaye Tumhaare Saath Gaya,
Alhad Antar Ka Bhola Pan,
Kachhe Sapno Ki Neend Aur,
Aankhon Ka Sahaj Salonapan,
Tum Gaye Tumhaare Saath Gaya...

Jeevan Ki Koron Se Dahkee,
Yovan Ki Agni Sikhaon Mein,
Tum Agan Rahe Main Magan Raha,
Ghar Bahar Ki Badhaon Mein,
Jo Roop Roop Bhatki Hogi,
Woh Pavan Aas Tumhaari Thi,
Jo Boond Boond Tarsi Hogi,
Woh Aadim Pyas Tumhaari Thi,
Tum Toh Meri Saari Pyasein,
Panghat Tak Lakar Lout Gaye,
Ab Nipat Akele Pan Par Hans Deta,
Nirmam Jal Ka Darpan,
Tum Gaye Tumhaare Saath Gaya...

Tum Gaye Tumhaare Saath Gaya,
Alhad Antar Ka Bhola Pan,
Kachhe Sapno Ki Neend Aur,
Aankhon Ka Sahaj Salonapan,
Tum Gaye Tumhaare Saath Gaya...

Ishq Mein Fana Ho Gaya Hu



Woh Humsafar,
Ishq Ke, Uss Dariya Mein Chhod Gaya,
Jis Ka Koi Kinaara Nahi,
Ab Kya Bataun,
Kaise Bataayen Apna Hal E Dil,
Ab Toh Us Ishq Mein Fana Ho Gaya Hu,
Jis Mein Rooh Toh Rahi Par Dil Na Raha...

- Waseem Manzoor Dar

Voh Dard Nahi Sah Paunga Main



Kamzor Nahi Hoon Main,
Shayad Hoon Majboor,
Dill Par Pathar Rakhoon Main,
Nahi Mujhe Ghuroor,
Par Voh Dard Nahi Sah Paunga Main,
Agar Hogaye Tum Mujhse Door....

- Leher

Dil Main Kisi Ko Basaya Toh Hoga



Dil Main Kisi Ko Basaya Toh Hoga,
Mere Baad Koi Aaya Toh Hoga,

Chittiyon Ka Silsila Ab Band Bhi Karo,
Chand Ke Aate Chupaya Toh Hoga,

Bahut Darr Lagta Hai Roshnai Se, Khud,
Fursat Main Kabhi Ghar Jhalaya Toh Hoga,

Chandni Kaafi Hai Meri Zindagi Ke Liye,
Dil Tootne Par Us Se Giraya Toh Hoga...

- Masroor Khan

Aaj Voh Mere Saath Nahi Tha


Aankhe Num Thi Or Dil Bhi Dard Se Ro Raha Tha,
Naa Jaane Kyon Chhodkar Mujhe Voh Chala Gaya Tha,

Saza Bhi Toh Milni Thi Jab Dil Lagaya Maine Tha,
Mere Be-inteha Pyar Ko Usne Na Kabhi Jana Tha,

Vo Khud Ko Kabhi Mere Kaabil Na Samajta Tha,
Tabhi To Yun Mujhe Tanha Chhodkar Chal Diya Tha,

Voh Gaya Toh Gaya Is Kadar, Na Kabhi Fir Use Dekha Tha,
Aise Jaise Chaand Bhi Kabhi Badlon Mein Chhipta Tha,

Kal Ko Voh Ek Anjaani Rah Par Yu Achanak Se Mila Tha,
Par Mila Bhi Toh Jaise Voh Mera Koi Toh Nahi Tha,

Pyar Ki Kahani Ka Ajib Sa Ant Mere Yaaro Tha,
Jise Maine Apna Mana Voh Mera Koi Toh Nahi Tha,

Aankhe Hans Di Thi Par Dil Roya Mera Tha,
Kyoki Aaj Voh Mere Saath Nahi Tha,
Jise Maine Apna Mana Tha...

- Shikha

Oh Mere Pahle Pyar


Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar..

Oh Shakti Bhare, Anurakti Bhare,
Nas Nas Ke Pahle Javaar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar..

Pavas Ki Pahli Fuharon Se,
Jisne Mujhko Kuchh Bol Diye,
Mere Aansu Muskano Ki,
Kimat Par Jisne Tol Diye,
Jisne Ahsas Diya Mujhko,
Main Ambar Tak Uthh Sakta Hu,
Jisne Khud Ko Bandha, Lekin,
Mere Sab Bandhan Khol Diye,
Mere Geeton Ke Saar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar..

Oh Mere Pahle Pyar,
Mujhe Tu Yaad Na Aaya Kar....

Tum Bin Kitne Aaj Akele


Tum Bin Kitne Aaj Akele,
Kya Hum Tumko Batlaayein,
Ambar Mein Hai Chand Akela,
Taare Uske Saath Toh Hain,
Taare Bhi Chhup Jaayein Agar Toh,
Saath Andheri Raat Toh Hai,
Par Hum Toh Din Raat Akele,
Kya Hum Tumko Batlayein..

Tum Bin Kitne Aaj Akele,
Kya Hum Tumko Batlaayein..

Jin Raahon Par Hum Tum Sang The,
Woh Raahein Yeh Puchh Rahi Hain,
Kitni Tanha Beet Chuki Hai,
Kitni Tanha Aur Rahi Hai,
Dil Do Hain Ajajbat Akele,
Kya Hum Tumko Batlaayein..

Tum Bin Kitne Aaj Akele,
Kya Hum Tumko Batlaayein....

Tum Pyar Maang Lena


Yadi Saneh Jaag Jaaye Adhikar Maan Lena,
Man Ko Uchit Lage Toh Tum Pyar Maang Lena....

Do Pal Mile Hain Tumko Yun Hi Na Beet Jaayein,
Kuchh Yun Karo Ki Dhadkan Aansu Ke Geet Gaaye,
Jo Man Ko Haraa Degaa Uski Hi Jeet Hogi,
Akshar Banenge Geeta Har Lay Mein Preet Hogi,
Bahumulya Hai Vaytha Ka Uphar Maang Lena...

Yadi Saneh Jaag Jaaye Adhikar Maang Lenaa,
Man Ko Uchit Lage Toh Tum Pyar Maang Lena...

Ladkiyan Jaise Pahla Pyar


Pal Bhar Mein Jeevan Mahkaayein,
Palbhar Mein Sansar Jalayein,
Kabhi Dhoop Hain Kabhi Chhanv Hain,
Barf Kabhi Angar,
Ladkiyan Jaise Pahla Pyar......

Bachpan Ke Jaate Hi Inki,
Gandh Base Tan Tan Mein,
Ek Kahani Likh Jati Hain,
Yeh  Sabke Jeevan Mein,
Bachpan Ki Yeh Vida Nishani,
Yovan Ka Uphar,
Ladkiyan Jaise Pahla Pyar.....

Inke Faisle Bade Ajab Hain,
Badi Ajab Hain Baaten,
Din Ki Keemat Par,
Girvi Rakh Leti Hain Yeh Raatein,
Hanste Gaate Kar Jaati Hain,
Aansu Ka Vayapar,
Ladkiyan Jaise Pahla Pyar.......

Good Morning...

Mere Man Ke Gaanv Mein


Jab Bhi Muh Dhak Leta Hu,
Teri Julfon Ki Chhav Mein,
Kitne Geet Ubhar Aate Hain,
Mere Man Ke Gaanv Mein...

Ek Geet Palkon Par Likhna,
Ek Geet Hoton Par Likhna,
Yani Saare Geet Dil Ki,
Mithi Si Choton Par Likhna,
Jaise Chubh Jata Hai Koi Kanta Nange Paanv Mein,
Aise Geet Ubhar Aate Hain Mere Man Ke Gaanv Mein...

Palkein Band Huyi Toh Jaise,
Dharti Ke Unmad So Gaye,
Palkein Agar Uthi Toh Jaise,
Bin Bole Sanvaad Ho Gaye,
Jaise Dhoop Chunriya Odhe Aa Baihti Ho Chhanv Mein,
Aise Geet Ubhar Aate Hain Mere Man Ke Gaanv Mein....

Good Morning...

Khud Se Bahut Main Door Tha


Jeevan Mein Jab Tum The Nahi,
Palbhar Nahi Ullas Tha,
Khud Se Bahut Main Door Tha,
Beshak Jamana Pass Tha...

Hoton Par Marusthal Aur,
Dil Mein Ek Mithi Jheel Thi,
Aankhon Mein Aansu Se Saji,
Ek Dard Ki Kandeel Thi...

Lekin Miloge Tum Mujhe,
Mujhko Atal Vishvas Tha,
Khud Se Bahut Main Door Tha,
Beshak Jamana Paas Tha....

Good Morning...

Dil Se Ise Yaad Rakh


Najar Khaye Jaati Hai Premi Ki,
Hasino Ko Duniya Mein Raahat Hi Nahin,

Badi Kasmkash Mein Hai Ahde Wafa,
Kabhi Hai, Kabhi Unki Neeyat Nahin,

Yeh Dil Hai,Yeh Hasrat Hai,Yeh Armaan Hai,
Meri Jaane Haajir Mein Hujjat Nahin,

Kaha Maine Dil Se Ise Yaad Rakh,
Unhe Tum Se Ulfat Hai Nafrat Nahin...

Aaadmi Ko Sabr Hi Nahi


Mujhe Dil Ki Ejja Mein Rahat Nahin,
Parayi Musibat Se Fursat Nahin,

Wahan Beniyaji Hai Har Saan Mein,
Wahan Khudnumaayi Se Fursat Nahin,

Bahut Door Aisi Kayamat Nahin,
Magar Unko Vaade Ki Aadat Nahin,

Gam-E-Dojahan Bhi Hai Kaafi Mujhe,
Magar Aaadmi Ko Sabr Hi Nahi,

Diya Dil Ne Maayush Hokar Jawab,
Nahin Daag Ab Koi Hasrat Nahin...

Kya Naam Hai Rihayi Ka


Shok Hai Usko Khudnumaayi Ka,
Ab Khuda Haafij Is Khudayi Ka,
Vasl Paigam Hai Judai Ka,
Mout Anjaam Aasnaayi Ka,
De Diya Ranj Ek Khudayi Ka,
Satyanaash Ho Judaayi Ka,
Kisi Bande Ko Dard E Isq Na De,
Vaasta Apni Sachayi Ka,
Sulah Ke Baad Wo Maja Na Raha,
Roj Saaman Tha Ladayi Ka,
Apne Hote Addu Pe Aane De,
Kyo Woh Iljaam Bewafayi Ka,
Asq Aankho Mein Daag Hai Dil Mein,
Yeh Natija Hai Aasnayi Ka,
Hansi Aati Hai Apne Rone Pe,
Orr Rona Hai Jaghansayi Ka,
Udd Gaye Hons Daam Mein Fans Ka,
Kaid Kya Naam Hai Rihayi Ka...

Zindagi Intezar Jaisi

Zindagi Intezar Jaisi Hai,
Door Tak Rehguzaar Jaisi Hai

Chand Bechehra Aahato Ke Siva
Saari Basti Mazaar Jaisi Hai

Raaste Chal Rahe Hain Sadiyon Se
Koi Manzil Gubaar Jaisi Hai

Koi Tanhai Ab Nhi Tanha
Har Khamoshi Pukar Jaisi Hai

Zindagi Roz Ka Hishab Kitab
Kimti Shai Udhar Jaisi Hai...

- Nida Fazli