Apna Gham Le Ke

Apna Gham Le Ke Kahi Aur Na Jaya Jaye
Ghar Mein Bikhari Huyi Cheezon Ko Sajaya Jaye

Jin Chiragon Ko Hawaon Ka Koi Khauf Nahi
Un Cheeragon Ko Hawaon Se Bachya Jaye

Baagh Mein Jaane Ke Aadaab Hua Karte Hain
Kisi Titli Ko Na Phoolon Se Udaya Jaye

Khudkhushi Karne Ki Himmat Nhi Hoti Sab Mein
Aur Kuch Din Abhi Auron Ko Sataya Jaye

Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo Yoon Kar Lein
Kisi Rote Hue Bacche Ko Hansaya Jaye...

- Nida Fazli

Benaam Khabar Ke Hum

Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Hum Hain
Rukh Hawaaon Ka Jidhar Hai, Udhar Ke Hum Hain

Pehle Har Cheez Thi Apni Magar Ab Lagta Hain
Apne Hi Ghar Mein, Kisi Doosre Ghar Ke Hum Hain

Waqt Ke Sath Hai Mitti Ka Safar Sadiyon Se
Kisko Maloom, Kahan Ke Hain, Kidhar Ke Hum Hain

Jism Se Rooh Talaq  Apne Kyi Aalam Hain
Kabhi Dharti Ke, Kabhi Chaand-Nagar Ke Hum Hain

Chalte Rehte Hain Ki Chalna Hai Musafir Ka Naseeb
Sochte Rehte Hain Kis Raahgujar Ke Hum Hain

Gintiyon Mein Hi Gine Jaate Hain Har Daur Mein Hum
Har Kalamkar Ke Benaam Khabar Ke Hum Hain...

- Nida Fazli