Bewafa - Latest Shayari

Kuchh Mat Poochh Tujhse Pyar Kitna Karta Hoon,
Har Raat Teri Yaad Mein Aakhein Ashk Baar Karta Hoon,
Tum Bewafa Thi Jo Pyar Se Daaman Bacha Baithi,
Main Bewafa Hoon Isliye Tujhe Pyar Karta Hoon.

Maut Sahara

Kis Tarah Teri Yaadon Se Kinara Kar Loon,
Teri Judai Ke Sitam Kaise Gawara Kar Loon,
Main Tujhse Bichhoodkar Jiyoon Toh Kaise Jiyoon,
Sochta Hoon Ab Maut Ko Hi Apna Sahara Kar Loon.

Har Lamha Tadpaya Hai

Tere Pyar Mein Humne Sara Jag Thukraya Hai,
Fir Bhi Tune Kadam-Kadam Per Sataya Hai,
Tu Apne Kasmein Vaadon Se Mukar Gayi,
Teri Berukhi Ne Mujhe Har Lamha Tadpaya Hai.

Jawani Josh

Teri Aankhon Mein Masti Samayi Huyi Hai,
Teri Jawani Josh Mein Aayi Huyi Hai,
Is Tanhayi Mein Itne Kareeb,
Voh Sehmi-Sehmi Si, Ghabrayi Huyi Hai.

Hasti Fana Ho Gayi

Zindagi Maut Ka Saaman Ho Gayi,
Teri Aankhein Jab Preshan Ho Gayin,
Aaj Khud Se Puchhta Hai Ye Dil,
Teri Hasti Kisliye Fana Ho Gayi.

Tera Intezar

Kahan Tak Zalim Tera Intezar Karoon,
Tu Bewafa Toh Nahi,
Magar Kitna Aitbar Karoon,
Sitam Mujh Per Huye Aur Tum Chup Hi Rahe,
Tum Hi Batao Kab Main Akela Hi Pyar Karoon.

Hasraton Bhra Chaman

Har Khushi Chheen Lee Hai Jamaane Ne,
Mujhe Thookra Diya Mere Hi Aashiyane Ne,
Ujad Gaya Hai Hasraton Bhra Chaman,
Mujhko Tadpaya Apne-Begaano Ne.

Roosvai Hi Roosvai

Ab Toh Had Ho Gayi Jaan Per Ban Aayi Hai,
Meri Aankhein Tere Deedar Ki Tamannayi Hain,
Kis Tarah Aayun Batao, Tumse Milne,
Tere Shahar Mein Badnami Hai, Roosvai Hi Roosvai Hai.

Zalim Jahan Ne

Zalim Jahan Ne Hume Juda Kar Diya,
Maine Bhi Tujh Par Sab Fida Kar Diya,
Tere Shahar Ke Log Toh Pehle Se Hi The Dushman,
Mujhe Toh Tune Bhi Aaj Khud Se Juda Kar Diya.

Jab Main Jeeta Tha

Tere Hothon Ka Jaam Jab Main Peeta Tha,
Dil Ke Zakhmon Ko Prem Se Seeta Tha,
Har Ghadi Murda Rehta Tha Jism Mera,
Tu Paas Hoti Thi Jab Main Jeeta Tha.

Vada-O-Ikrar

Aaj Roshan Fir Mere Rukhsar Ho Jaye,
Chalo Is Tanhayi Mein Fir Pyar Ho Jaye,
Mere Seene Se Lag Jao Pehle Ki Tarah,
Fir Se Ek Baar Vada-O-Ikrar Ho Jaye.

Vada-O-Ikrar

Aaj Roshan Fir Mere Rukhsar Ho Jaye,
Chalo Is Tanhayi Mein Fir Pyar Ho Jaye,
Mere Seene Se Lag Jao Pehle Ki Tarah,
Fir Se Ek Baar Vada-O-Ikrar Ho Jaye.

Vada-O-Ikrar

Aaj Roshan Fir Mere Rukhsar Ho Jaye,
Chalo Is Tanhayi Mein Fir Pyar Ho Jaye,
Mere Seene Se Lag Jao Pehle Ki Tarah,
Fir Se Ek Baar Vada-O-Ikrar Ho Jaye.

Iltaja

E Khuda Tujhse Iltaja Hai Meri,
Tu Mere Pyar Ke Dushmano Ko Khak Mein Mila De,
Pyar Mere Ko Roosva Kiya Jinhone,
Voh Tadpate Rahein Aisi Unhe Saza De.

Meri Hasratein

Kadar Jazbaton Ki Na Huyi Tere Shahar Mein,
Janaja Ulfat Ka Uth Gaya Tere Shahar Mein,
Isliye Door Tujhse Chala Aaya Hoon,
Meri Hasratein Dafana Di Gayi Tere Shahar Mein.

Zalim Sara Zamana

Log Bedard Hain Yahan, Zalim Sara Zamana Hai,
Dushman Huye Apne Praye, Ye Saya Tak Begana Hai,
Kis Par Yakin Ab Hum Karein,
Is Shahar Ka Har Shakhs Pyar Se Anjana Hai.

Pyar Rusava Ho Gaya

Pyar Rusava Ho Gaya, Main Tadap Kar Reh Gaya,
Khawab Pyar Mein Dekha Jo, Veh Bikhar Kar Reh Gaya,
Phool Gulshan Mein Bahut Khile The,
Kaya Karein Magar Sara Aashian Ujadkar Reh Gaya.

Meri Wafa

Pyar Katl Ho Gaya Daulat Ki Talwar Se,
Phool Sab Murjha Gaye Kalyug Ki Bahar Se,
Kisi Ne Meri Wafa Ki Kadar Na Ki,
Dil Uchat Gaya Hai Jahan Se, Ghar Bar Se.

Muflisi

Mohabbat Aaj Ke Daur Mein Gunaah Ho Gayi,
Muflisi Insaan Ke Liye Saza Ho Gayi,
Chal Is Shahar Se Door Kahin,
Yahan Teri Sharafat Hi Khata Ho Gayi.

Rasmein Wafa

Khinja Ka Daur Mit Jayega Tere Aane Se,
Baaj Aa Jao Ab Sir Dard Ke Bahaane Se,
Ek Muddat Se Mutanjir Hai Tera,
Aitraaj Kya Hai Tujhe Rasmein Wafa Nibhane Mein.

Sirf Tanhayi

Har Pal Saath Rehne Ki Kasam Khayi Hai,
Maine Har Rasm Ulfat Ki Nibhayi Hai,
Tum Daaman Bachakar Phoolon Mein Jaa Baithe Ho,
Mere Aangan Mein Sirf Tanhayi Hai.

Ek Gulab

Chaman Se Bichhda Hua Ek Gulab Hoon,
Main Khud Apni Tabaahi Ka Jawaab Hoon,
Yoon Nigaahein Na Fer Mujhse Mere Sanam,
Main Teri Chahaton Mein Hi Hua Barbaad Hoon.

Kismat Mein Tanhayi

Haye Re Kismat Teri Duhai Hai,
Sharafat Ka Baadal Yahan Ruswai Hai,
Jo Mujrim The Munsif Bane,
Aur Ab Teri Kismat Mein Tanhayi Hai.

Sad Urdu Shayari

Hasraton Ki Dunia

Mit Gayi Jab Hasraton Ki Dunia,
Tab Kahin Use Mera Khayal Aaya,
Lut Raha Tha Ghar Mera Jab Uske Saamne,
Tab Use Zara Sa Na Malaal Aaya,

Tanha Safar

Teer Nafraton Ke Chale Mere Jigar Par,
Pehray Laga Diye Gaye Gar Teri Nazar Par,
Tu Saath Nahi Hai Mere, Bhatakata Hoon Tanha,
Kaise Nikloon Kisi Aur, Naye Safar Par.

Khaak Mein Mila Diya

Dil Ne Toh Teri Yaad Ko Gale Se Laga Liya,
Aur Tune Zara Si Baat Par Nazar Se Gira Diya,
Ab Kisi Par Bhi Aitbar Nahi Hai,
Jabse Mujhe Tune Khaak Mein Mila Diya.

Ajnabi Shahar

Main Us-se Door Chala Toh Aaya Hoon,
Magar Abhi Tak Use Na Bhool Paya Hoon,
Jikar Kisse Karoon Uski Wafaon Ka Main,
Is Ajnabi Shahar Mein Ek Bhatkata Saya Hoon.

Tanhayee

Ab Toh Unhe Mere Naam Se Adawat Ho Gayi Hogi,
Main Door Hoon Toh Mere Ghar Se Bagawat Ho Gayi Hogi,
Kahan Kho Gaya Hoon Main Voh Sochti Toh Hogi,
Use Bhi Tanhayee Mein Rehne Ki Aadat Ho Gayi Hogi.

ILZAAM

Nigahon Mein Raha Dil Ka Pata Na Liya,
Sakoon Le Liya Usne Jismo Jaan Na Liya,
Usne Apne Sir Kabhi Koi Gunah Na Liya,
Rusvai Aur Bewafai Ka ILZAAM,
Bas Mujh Par Laga Diya.

Meri Taqdeer

Dard Judai Ka Meri Taqdeer Ban Gaya,
Gham Chahton Ka Meri Jageer Ban Gaya,
Voh Khwaab Jo Dekha Tha Pagli Aakhon Se,
Vahi Khwaab Ab Dil Ke Peed Ban Gaya.

Fana

Raahe Ishq Mein Hum Behaal Tabaah Ho Gaye,
Phool Mohabbat Ke Tamaam Gunah Ho Gaye,
Neend Akele Mein Ab Kaise Aayegi,
Milan Ke Lamhe Tamaam Jab Fana Ho Gaye.

Dillagi

Har Sakhs Ab Ajnabi Sa Lagta Hai,
Tera Milna Toh Dillagi Sa Lagta Hai,
Ye Kaisa Rang Teri Ulfat Ka Hai,
Ki Tera Muskurana Bhi Sanam Ab Berukhi Sa Lagta Hai.

Mera Dard

Tumne Mera Dard Agar Samjha Hota,
Toh Yoon Jamaane Ne Mujhe Na Mitaya Hota,
Rusvayi Toh Ishq Ki Saugat Hoti Hai,
Kaash Tumne Ise Palkon Par Uthaya Hota,
Toh Na Ajab Asool Kabhi Ulfat Ka Hota.

Roosvai

Ishq Ke Bajaar Mein Roosvai Bahut Hai,
Pyar Ke Nashib Me Judai Bahut Hai,
Is Tarah Bar-Bar Gale Na Laga Karo,
Raahe Mohabbat Mein Tanhayi Bahut Hai.

Yaadon Ke Zakham

Aansoo Hain Ki Aankhon Se Nahi Thamte,
Unki Yaadon Ke Zakham Kabhi Nahi Bharte,
Hum Unko Har Lamha Sochte Rahte Hain,
Hume Kabhi Bhule Se Bhi Yaad Nahi Karte,
Na Jaane Kahan Gaye Voh Sunhare Din,
Ab Voh Humari Raah Kabhi Nahi Takte.

Berukhi

Itni Berukhi Kis Liye Sanam,
Main Teri Nazron Se Kya Gir Gaya Hoon,
Huyi Kya Khata Mujhse Batao Zara Tum,
Yaa Tu Khud Apne Vaadon Se Mukar Gaya.

Yaad Ka Jaam

Jab Bhi Mere Honthon Par Tera Naam Aata Hai,
Mere Tadpate Dil Ko Sanam Aaram Aata Hai,
Yahaan Tanhaayi Hai, Gham Hai, Udaasian Hain,
Har Shaam Haathon Mein Teri Yaad Ka Jaam Aata Hai.

Jazbat

Nigaahein Fer Lee Tumne,
Bikhar Gaye Sapne,
Dushmann Ho Gaye Sab Mere,
Har Praye Kya Apne,
Kahin Bhi Dil Nahi Lagta,
Ab Jayein Toh Kahan Jayein,
Har Kadam Par Lage Hain,
Yahan Ab Jazbat Bikane.

Dil Se

Oh Sanam Kya Tumne Bhula Diya Hai,
Mera Naam Apne Dil Se Kya Mita Diya Hai,
Tune Toh Kasmein Khayi Thi Saath Jeene Marne Ki,
Kya Mera Likha Hua, Har Khat Jala Diya Hai.

Garibon Ki Mohabbat

Main Teri Yaadon Mein,
Gujar Dunga Umar Tamaam,
Dil Mein Teri Soorat Rahegi,
Lab Pe Tera Naam,
Dunia Toh Mandi Bani Hai,
Zazbaton Ki Aajaad,
Yahan Garibon Ki Mohabbat Hoti Hai,
Pag-Pag Par Nilaam.

Jahar Hi Jahar

Har Ek Sham Aati Hai,
Teri Yaadon Ki Ghatayein,
Aur Har Raat Barsati Hai,
Meri Tanhayi Mein,
Mere Mehboob Main Jee Nahi Sakta Tere Bagair,
Jahar Hi Jahar Bhra Hai Sanam Teri Judai Mein.

Tujhe Bhulayun Kaise

Tu Hi Bata De Ki Tujhe Bhulayun Kaise,
Rasmein Ulfat Ko Nibhayun To Nibhayun Kaise,
Tere Shahar Ka Har Aadami Dushman Hua Mera,
Milne Ab Tujhse Sanam Main Aayun Kaise.

Zalim Rasmein

Zalim Rasmein Samaaj Ki Milne Na Dengi Humko,
Hasil Kuch Na Hoga Deewaron Se Sar Fod Kar,
Pyar Nibhana Hai,
To Chali Aa Kisi Bhi Haaal Mein,
Har Apne Praye Se Moonh Mod Kar.

Muskurana Hasna Tera

Haaye! Voh Raat Din Ka Milna Julna Tera,
Baar-Baar Ghar Aana Mere, Muskurana Hasna Tera,
Chori Chori Raat Mein Aakar Milna Tera,
Pehle Sharmana Jhijhkana Tera Aur Fir Liptana Tera.

Dil Toot Gaya

Dil Toot Gaya Mera, Jiyun Toh Kaise Jiyun?
Jahar Teri Judai Ka Piyun Toh Kaise Piyun?
Kuch Is Kadar Sataaya Hai, Mukkammal Jahaan Ne,
Ab Chaak Daaman Ko Siyun Toh Kaise Siyun.

Hasratein

Dunia Ne Mere Pyar Ko Badnaam Kar Diya,
Meri Tamaam Hasraton Ko Nakaam Kar Diya,
Voh Jo Kabhi Meri Baanhon Ki Jeenat Tha,
Haye! Usne Khud Ko Gairon Ke Naam Kar Diya.

Tera Intezar

Hum Tere Pyaar Mein Jaan Nisaar Karenge,
Tum Na Mile To, Na Kabhi Kud Se Pyar Karenge,
Hum Har Rasm Nibhayenge, Jaan Par Bhi Khel Jayenge,
Kayamat Aane Tak Tera Intezar Karenge.

Dasture Ishq

Hajaar Baar Tujhe Chaha Tha Maine Bhulana,
Magar Yaad Aaj Tak Raha Hai Tera Afsana,
Maine Toh Ada Kar Diya Farz Ulfat Ka,
Tune Hi Nahi Jana Kabhi Dasture Ishq Nibhana.

Prem Kahani

Main Door Bahut Tere Shahar Se Nikal Aaya Hoon,
Tamaam Yaadein, Khyaal Sab Pichhe Chhod Aaya Hoon,
Tu Jahan Bhi Rahe, Khush Rahe, Sada Salamat Rahe,
Main Apni Prem Kahani Ka Rukh Mod Aaya Hoo.

Ashiqui - Love Shayari

Ashiqui Ne Humko Kya-Kya Din Dikhaye Hain,
Apne, Praaye, Ghar Aur Shahar Sab Chhod Aaye Hain,
Tumko Aaj Tak Nahi Bhoola Hoon,
Kya Hum Bhi Tumhe Kabhi Yaad Aaye Hain.

Jee Chahta Hai

Nigaahen Milaane Ko Jee Chahta Hai,
Tere Paas Aane Ko Jee Chahta Hai,
Kaash Vahi Raatein Laut Aayen,
Fir Tanhayi Mehkaane Ko Jee Chahta Hai

Pyar Mein Roosva

Main Tere Pyar Mein Roosva Ho Gaya,
Gali-Gali Mere Pyar Ka Charcha Ho Gaya,
Meri Gareebi Meri Dushman Ban Gayi,
Jo Mera Pyar Mujhse Juda Ho Gaya.

Gile Shikve

Uff, Teri Judai Ka Dard Saha Na Jaye,
Bagair Tumhare Ab Raha Na Jaye,
Tu Saamne Ho Toh Saare Gile Shikve Kar Loon,
Kisi Aur Se Toh Kuchh Kaha Bhi Na Jaye.

Latest Sad Shayari Collection

Aakhon Mein Soorat Rehti Hai Teri,
Dil Mein Tera Khayal Rehta Hai,
Mere Mehboob Har Ghadi Mujhko,
Teri Wafaon Ka Sawaal Rehta Hai.

Meri Chahat Ka Nagma Badnaam Hua,
Tera Badan, Haye Gair Ke Naam Hua,
Voh Chehra Jo Meri Raaton Ka Chaand Tha,
Voh Badan, Haye Gair Ka Jaam Hua.

Dil Ke Haathon Barbaad

Dil Ke Haathon Barbaad Ho Gaye Hum,
Dil Shaad Tha Mera, Nashaad Ho Gaye Hum,
Koi Kaise Yakin Karega Mere Pyar Ka,
Tabaah Toh Huye Magar Azaad Ho Gaye Hum.

Intejar

Teri Yaad Mein Aankhen Ashk Baar Baar,
Dil Toh Kaya Rooh Bhi Meri Bekraar,
Ab Toh Aaja Oh Mere Bedard Sanam,
Saanse Meri Rookne Ko, Intejar Ab Bhi Barkaraar.

Tera Intezar

Dil Mera, Tera Beemar Aaj Bhi Hai,
Teri Kasam Tumse Mujhe Pyar Aaj Bhi Hai,
Mana Ki Tujhe Kaid Kar Diya Bedard Logon Ne,
In Pehron Ke Baavjood Tera Intezar Aaj Bhi Hai.

Pyar Sad Shayari

Kisi Lamhe Tera Khayaal Dil Se Niklata Nahi,
Zakhm Jo Tune Diya Kisi Soorat Bhi Bharta Nahi,
Mere Mehboob Teri Kasam Aaj Bhi Hai Tumse Pyar,
Jahan Bhi Jaayun Tera Khoomar Rooh Se Meri Hat-ta Nahi.

Dard Meri Tanhayion Ka

Ab Koi Humdard Kisi Bahaane Aaye,
Dard Meri Tanhayion Ka Mitaane Aaye,
Safar Zindgi Ka Ab Kaate Nahi Kat-ta,
Koi Hashina Toh Ab Saath Nibhaaye.